13 January 2009 | aspundir | 6 Comments ई-मेल पर श्वेता जी ने एक मजेदार वार्त्तालाप भेजा है, आप भी आनन्द लीजिये Jay : Mausi, ladka Satyam mein kaam karta hai.. Mausi : Hai ram..!!! Aur kahin try kar raha hai kya?? Jay : kahan mausi, 2 saal Satyam me rahne ke baad koi Company leti kahan hai… Mausi : Hi Raam to kya 2 saal se Satyam mein hi hai.. Jay : haan socha tha 2 saal me salary hike hogi hi. Aajkal to salary bhi jyada NAHI mil rahi hai use.. Mausi : To kya salary BHI KAM milti HAI..? Jay : Ab appraisal bhi to asaani se kahaan hota hai mausi.. Mausi : Hai hai …!! To kya appraisal bhi nahi hota uska..? Jay : Senior se ladhai karne ke baad appraisal mein achhi rating to nahin milti hai na… Mausi.. Mausi : To kya seniors se ladhta bhi hai..? Jay : Ab 2 saal tak onsite Jane ko na mile to ho jaati hai kabhi kabhi anban.. Mausi : To kya AB tak ek baar bhi onsite nahi gaya ..??? Jay : Ab Outdated technology ke developer ki kismat mein to yehi likha hai mausi.. Mausi : kya kaha ladka Outdated technology mein kaam karata hai..!!! Mausi : Kaunse college se padhai ki hai..? Jay : Uska pataa lagte hi hum aapko khabar de denge!! Jay : To main rishta pakka samjhuna mausi??? Mausi : Beta, kan khol kar sun Le…Sagi mausi hoon basanti ki, koi sauteli maa nahi….Bhale hi hamaari Basanti Call Center wale Chandu se shaadi kar Le par Satyam ke employee se katai nahin karegi Share this: Print (Opens in new window) Print Post Share on WhatsApp (Opens in new window) WhatsApp Share on Telegram (Opens in new window) Telegram Like this:Like Loading… Related Discover more from Vaidicjagat Subscribe to get the latest posts sent to your email. Type your email… Subscribe Related posts: वेद के सूक्तों का तात्त्विक रहस्य हनुमत्सहस्त्र नामावली देवोत्थान, प्रबोधिनी या देव उठनी एकादशी शंकराचार्य परम्परा गजाननस्तोत्रम् Powered by YARPP.